Qissa-a dar-o-rasan bazi-ye tiflana-a dil,
Iltija-a, arini, surkhi-ye afsanah-a dil,
YaRabb iis saghiray labrez ki mey kiya ho gi,
Jadah-a mulkay baqa hay khatay pemanah-a dil,
Abr-e-rehmat tha keh thi ishq ki bijli YaRabb!,
Jal ga-e mazra-a hasti tto oga dana-a dil,
Husn ka ganjay giran mayah tujhay mil jata,
Ttu nay farhad! nah khoda kabhi wiranah-a dil,
Arsh ka hay kabhi ka'bay ka hay dhoka iis par,
Kis ki manzil hay Ilahi! mira kashanah-a dil,
Iis ko apna hay junun oor mujhay soda apna,
Dil kisi oor ka diwanah, mein diwanah-a dil,
Ttu samajhta nahin ay zahiday nadan iis ko,
Rashkay sad sajdah hay ik laghzishay mastanah-a dil,
Khak kay dil ko aksir bana deti hay,
Woh asar rakhti hay khakastaray parwanah-a dil,
Ishq kay dam mein phans kar yeh riha hota hay,
Barq girti hay tto yeh nakhl hara hota hay.