'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha
marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa
bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa
waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha
go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha
dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha
bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha.