Us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa,
Hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa,
Aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii,
Main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa,
Dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain,
Main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa,
Us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe,
Main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa,
Shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii,
Us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya,
Aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe,
Ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa...